Friday, 14 February 2014

Raha youn he naa mukamal' gham-e ishq ka fasaana


Raha youn he naa mukamal' gham-e ishq ka fasaana,
Kbi muj ko neend aa gaee' kbi so gya zamana,

Ye adaaeyn behki behki' ye nigaah-e sahirana,
K jahan b tu nay chaaha' wahin ruk gya zamana,

Mujay is ka gham nhi hai' k badal gya zamana,
Meri zindgi hai tm say' kahin tu badal na jana,

Wahin jaam me dabo di' meri mastiyon nay tauba,
Jo uthi nigaah-e saaqi' mujay mil gya bahana,

Meri zindgi aur tera gham' tera gham mata-e aalam,
Meray saath sirf tu hai' teray saath hai zamana,

Hai muj me aur tuj me koi farq to bs itna,
Teri zindgi haqeeqat' meri zindgi fasana,

Wo abi gaey hain Jana! isi raastay say ho kr,
Meray dil ko ye yaqeen hai' k guzr gya zamana...!

,

No comments:

Post a Comment