Friday, 14 February 2014

khushi ka gham hai na gham ki koi khushi ba toh


khushi ka gham hai na gham ki koi khushi ba toh
bahot udaas guzarti hai zindagi ab toh

tere bagair be dil ki tasaliyoon ke liye
ik intzaar ki shub thi so dhal chooki ab toh

ik ashna ke bicharney se kya nahin badla
hawa_e_shehar lagti hai ajnabi ab toh

tamam raat rahi dil mein roshni ki lakeer
misaal-e-shama sehar wo be jal booji ab toh

chalti thi jin se yahan rasm-e-khudnahedari
unein aziz houa zikr-e-khudkushi ab toh

kahan gaye wo shanasa wo ajnabi chehrey
ujri si nazar ati hai har gali ab toh!!

No comments:

Post a Comment