Saturday 15 February 2014

Aah ko doori e aflaak ka gham kha gya hy

Aah ko doori e aflaak ka gham kha gya hy

Aah ko doori e aflaak ka gham kha gya hy.
Dheeray dheeray muje idraak ka gham kha gya hy.

Koozagar goondh ky rakh daita hy ik samt muje.
Main vo miti hoon jisay chaak ka gham kha gya hy.

Jesay dunya min koi gham he na ho is ki siva.
Khaak zadon ko to bas khaak ka gham kha gya hy.

Hijr zaadi teri aankhon min ajab vehshat hy.
Tujhko kis khof ky paichaak ka gham kha gya hy.

Zehr aalood raha shoq se jo pehlay pehel.
Ab osi shakhs ko taryaaq ka gham kha gya hy.

Kunha saalon se yehii zakhm ayaan hen mesam.
Jinki uryani ko poshaak ka gham kha gya hy.

Poet: Meesam Naqvi

No comments:

Post a Comment