Friday, 14 February 2014

Kia Kaheiye Keh Ab Uski Sada Tak Nahi Aati




Kia Kaheiye Keh Ab Uski Sada Tak Nahi Aati
Oonchi Hon Faseelein Tou Hawa Tak Nahi Aati

Shayad He Koi Aa Sakay Is Morr Se Aagay
Is Morr Se Aagay Tou Qaza Tak Nahi Aati

Woh Gul Na Rahey Nikbat-e-Gul Khaak Milay Gi
Yeh Soch K Gulshan Mein Saba Tak Nahi Aati

Is Shor-e-Talatum Mein Koi Kis Ko Pukarey
Kaano Mein Yahan Apni Sada Tak Nahi Aati

Khuddaar Hoon Kiun Aaon Dar-e-Abl-e-Karam Par
Khailti Kabhi Khud Chal Kar Ghata Tak Nahi Aati

Us Dasht Mein pairron K Nishaan Dhoond Rahey Ho
Pairron Se Jahan Chhan K Ziya Tak Nahi Aati

Ya Jati Hui Mujh Se Lipat Jati Thi Shakhein
Ya Meray Bulaney Se Saba Tak Nahi Aati

Kia Khushk Hua Sroshniyon Ka Woh Samandar
Ab Koi Kiran Aabla Paa Tak Nahi Aati

Chhup Chhup K Sada Jhankti Hai Khalwat-e-Gul Mein
Mehtaab Ki Kirno Ko Haya Tak Nahi Aati

Yeh Kon Bataey Adam Abaad Hai Kaisa
Tooti Hui Qabron Se Sada Tak Nahi Aati

Behtar Hai Palat Jao Siyah Khan-e-Gham Se
Is Ghufa Mein Tou Hawa Tak Nahi Aati…………

No comments:

Post a Comment