Friday, 28 February 2014

Pathar he lagein gy tujhy har simt se aa kar

pathar he lagein gy tujhy har simt se aa kar

pathar he lagein gy tujhy har simt se aa kar,,
Ye jhoot ki dunia hai yahaan such na kaha kar,,

Apny hi shab o Rooz mein masroof raha kar,
hum log bury hain tou Humse na mila kar..

Mitti ka payala bhe nahi apny gharoon mein,
kheraat main chandi ka taqaza ma kia kar..

Tera pyar meri Taqdeer mein likha he nahi hai,
ab chorh de haatho ki lakerein na parha kar..

Ay dill tujhy dushman ki bhi pehchan kahan hy,
Tou halka e Yaraan main bhi mohtaat raha kar..

Uljhy huye logon se grezaan na hua kar,
Halat ki qabron  k yeh kutby bhi parha kar..

Har  Waqt ka hansna tujhy barbaad na kar dy,
Tanhai  k lamhoon  mein kabhi ro bhi lia kar..!!!!!


Hum tujy ek pal bhool na jain

Hum tujy ek pal bhool na jain


Hum tujy ek pal bhool na jain
Soty huay be khayal tera
Hum ny kabi jo ankhain kholi
tuje mein khudi ko dekha pheli dafa
Eik payas hai ek dard hai
Bin tere na tery bina
Tera sath be tera naam be
Asmanoon pay hai likha
Asmanoon pay hai likha
Asmanoon pay hai likha

Na karun shikwaa
Apny khuda se
Jo be hua naseeb mera
Mere qadam jo pani per theen
Jany mein kasy par laga
Hain dooriyaaan majboriyaan
Bin tere na tery bina
Tera sath be tera naam be
Asmanoon pay hai likha
Asmanoon pay hai likha
Asmanoon pay hai likha...!!!


Kam Sukhan Hain Pas-E-Izhaar Miley Hain Tujh Se

Kam Sukhan Hain Pas-E-Izhaar Miley Hain Tujh Se



Kam Sukhan Hain Pas-E-Izhaar Miley Hain Tujh Se
Milna Yeh Hai Tou Kaiee Baar Milay Hain  Tujh Se

Jantey Hain Keh Nahi Sehal Mohabbat Karna
Yeh Tou Aik Zid Mein Meray Yaar Miley Hain Tujh Se

Taiz Raftariy-E-Dunya Kahan Mohlat Day Gi
Hum Sar-E-Garmiy-E-Bazaar Miley Hain Tujh Se

Kabhi Latey Thay Teray Wastey Jo Shkah-E-Gulaab
Woh Bhi Ab Kheench Ke Talwaar Miley Hain Tujh Se

Teray Milney Se Uneh Rok Saka Hai Koi
Milney Waley Tou Sar-E-Daar Miley Hain Tujh Se

Kheench Lati Hai Hamein Teri Mohabbat Warna
Aakhri Baar Kaiee Baar  Miley Hain Tujh Se.......

Teray Milney Se Uneh Rok Saka Hai Koi
Milney Waley Tou Sar-E-Daar Miley Hain Tujh Se

Kheench Lati Hai Hamein Teri Mohabbat Warna
Aakhri Baar Kaiee Baar  Miley Hain Tujh Se.......



Woh log hi qadmon se zameen chheen rahy hen

Woh log hi qadmon se zameen chheen rahy hen

Woh log hi qadmon se zameen chheen rahy hen
Jo log meray qadd ky baraabar naheen aatay

IK "Tum" ky Tumhare liye Main bhi' Meri jaan bhi.
IK Main' ky Mujhe Tum bhi muyassar naheen atay.

Jis shaan se LOtey hen ganwa kar Dil-o-jaan Hum
Es taur to Haarey huwey Lashkar naheen atay.

Koi to khabar laaye Merey Dushmn-e-Jaan ki
Kuch Din se Meray sehn men Pathar naheen atay.

Dil Bhi koi Aasaib ki Nagri hay ky 'MOHSIN'.
Jo is se nikal jatey hain murr kar naheen atay..

Poet: Mohsin Naqvi

Wo jo Teray Faqeer hotay hain

Wo jo Teray Faqeer hotay hain

Wo jo Teray Faqeer hotay hain. .
Aadmi Benazeer hotay hain. .

Daykhnay wala ik nahi milta. .
Aankh walay Kaseer hotay hain. .

Jin ko Dolat Haqeer lagti hai. .
Haye kitnay Ameer hotay hain. .

Jin ko Qudrat nay Husn bakhsha ho. .
Qudratan Kuch Shareer hotay hain. .

Zindagi k Haseen Tarkash mein. .
Kitnay Be-rehm Teer hotay hain. .

Wo Parinday jo Aankh Rakhtay hain. .
Sab say pehlay Aseer hotay hain. .

Hy khushi bhi Ajeeb shay Lekin. .
Gham baray Dil'Pazeer hotay hain..

Ay "adam" ahtiyaat logon say. .
Log munker nakeer hoty hain.

Poet: Abdul Hamid Adam.

Qunj-e-Hairat Se Chalay Dasht-e-Ziyan Tak Laye

Qunj-e-Hairat Se Chalay Dasht-e-Ziyan Tak Laye

Qunj-e-Hairat Se Chalay Dasht-e-Ziyan Tak Laye
Kon La Sakta Hy Ham Dil Ko Jahan Tak Laye

Aik Hangama Bapa Hy Pas-e-Diwaar-e-Badan
Hy Kisy Taab-e-Sukhan, Kon Zuban Tak Laye

Thek Hy Chashm-e-Taghaful Ye Teri Dein Sahi
Taab Zakhmon Ki Mgr Koi Kahan Tak Laye

Aankh Weeran Thi Kisi Dasht-e-Tapan Ki Surat
Hum isy Silsla-e-Aab-e-Rawan Tak Laye

Tujh Ko Jo Chahiye Be Khof-o-Khatar Le Ja tu
MéeR Kafir Ho Jo is Dil Me Gumaan Tak Laye.

Poet: Meer Taqi Meer

Tuesday, 25 February 2014

Zindgi khuwab-e-pareshaan se zyada to nhi

Zindgi khuwab-e-pareshaan se zyada to nhi

Zindgi khuwab-e-pareshaan se zyada to nhi,
Is me tabeer Bhi mil jaye yeh waada to nhi.

Baat be baat ulajhney ki yeh huu kesi hy,
Yeh bta tera bicharrney ka iraada to nhi.

Kon khushbuu Ky ta'aaqub me gya door talak,
Log saada hen magar itny Bhi sada to nhi.

Kis khushi se mujhy bheja hy bta surkh gulaab,
Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nhi.

Bewafa hum hi sahi, khud pe Bhi kuch ghaur karo,
Berukhi aap ki Bhi hadd se zeyadaa to nhi...!

Kisi ki khatir Qaraar Khona, Koi Sune ga To Kya Kahega

Kisi ki khatir Qaraar Khona, Koi Sune ga To Kya Kahega

Kisi ki khatir Qaraar Khona,
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Tumhara Raaton Ko Uth K Rona,
Koi Sune ga To Kya Kahe ga?

Zamaana Ehd-E-Shabab Ka hy,
Naye Khayaal-O-Khwaab Ka hy.
Ye Shab-Bedari, ye din ka sona,
Koi Sune ga To Kya Kahe ga?

Bhanwar Me Tum Mujhko chor aaty,
yoonhi Mohabbat Ka Raaz rehta,
Ye Laa Ky Sahil Py yoon Dubona,
Koi Sune ga To Kya Kahe ga?

Kaha ye men ny daro KHUDA sy,
hamary dil ko dukha rahy ho.
Wo hans ky boly "Chup raho na",
Koi Sune ga To Kya Kahega...!

Dhoop men saya-e- dewaar zuroori tu naheen

Dhoop men saya-e- dewaar zuroori tu naheen

Dhoop men saya-e- dewaar zuroori tu naheen,
Ab teray baad koi pyaar zuroori to naheen.

Ham tere aik Ishaaray py kata den gy sir,
Ho tere hath mein talwaar zarori to nahi.

Mere Elaan-e- baghawat se salaamat reh Jaey,
Teri shaahi tera darbaar zarori to nahi.

Nafratain phaink k aa phir se galay lag Jayain,
Aisa mouqa milay har baar zarori to nahi.

Jeet loon ga tujhe duniya se mera wada hai.
Har dafa hogi meri haar, zuroori to naheen.

Ishq Sehra Hai K Darya Kabi Socha Tum Ne

Ishq Sehra Hai K Darya Kabi Socha Tum Ne

Ishq Sehra Hai K Darya Kabi Socha Tum Ne?
Tujh Se Kya Hai Mera Naata Kabi Socha Tum Ne?

Haan! Main Tanha Hun Ye Iqrar Bhi Kar leta Hon.
Magar Kis Ne Kia Tanha Kabi Socha Tum Ne?

Ye Alag Bat Jataaya Nahi Main ne Tujh Ko.
Warna Kitna Tujhe Chaha Kabi Socha Tum Ne?

Tujhko Awaaz Likha, Noor Likha, Phool Likha.
Main ne Kya Kya Tujhe Likha Kabi Socha Tum Ne?

Mutma'inn Hoon Tujhe Lafzon Ki Haraarat De Kar.
Main Ne Kitna Tujhe Socha Kabi Socha Tum Ne..?? 

Friday, 21 February 2014

Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai

Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai

Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai,
Yoon lagta hay Sadio'n Say Mulaqat nahi hay

Dukh dard Sunao mujhay har baat batao.
Ye dil ki khuwahish hay meri baat nahi hay,

Jab yad teri aye to aa jatay hain aansu.
Main kaysay kahu aankh may Barsaat nahi hay,

Sookhay huway kuch phool hain or ashk hain taaza,
Kuch or meray paas to Söghaat nahi hay,

Waaqif hay meray dard Say Subho ka ujaala.
Laa-ilm meray gham Say meri raat nahi hay,

Main jis kì Mohbat may yoon be-haal hoon ab tak.
Wo hans k ye kehta hay "Koi baat nahi hay".

Main Hosh men tha, to phir us pe Mar gaya kaisy

Main Hosh men tha, to phir us pe Mar gaya kaisy

Main Hosh men tha, to phir us pe Mar gaya kaisy?
Ye Zehar mery Lahoo mein utar gayaa kaisy?

Kuch us ky Dil men Lagaawatt zaroor thi warna.
Wo mera haath Dabaa kar Guzar gayaa kaisy?

Zuroor uski Tawajjo ki Rehbari ho gi.
Nashay men thaa to main apny hi ghar gaya kaisy?

Jissy bhulaaye kayi Saal hogaye Kaamil.
Main aaj uski Gali say guzer gayaa kaisy?

Poet: Rashid Kamil

Thursday, 20 February 2014

Itna toota hoon k choony sy bikhar jaoon ga

Itna toota hoon k choony sy bikhar jaoon ga

Itna toota hoon k choony sy bikhar jaoon ga.
Ab agar aor dua do gy to mar jaaoon ga.

Pooch kar mera pataa, waqt raayegaan na karo.
Main to banjaara hoon, kya jaany kidhar jaoon ga.

Har taraf dhunnd hy, jugnu hy na charaagh koi.
Kon pehchaany ga, bastii men agar jaaoon ga?

Zindagi, ! Main bhi musaafir hoon teri kashti ka.
Too jahaan mujh sy kahy gi, main utar jaoon ga.

Phool reh jaayen gy, gul'daano men yaadon ki nazar.
Main to khusbuu hoon, fizaaon men bikhar jaoon ga.

Tujh sy mil kar qaraar tha hi nahin

Tujh sy mil kar qaraar tha hi nahin

Tujh sy mil kar qaraar tha hi nahin
Woh tira intizaar tha hi nahin

Koii  mash'ill ba'dast tha, jis ka
Qaafily men shumaar tha hi nahin

Khvaab dekha nahin keh neendo'n sy
Raabita ustawaar tha hi nahin

Hosily ko barrha liya aakhir
Dard par ikhtiyaar tha hi nahin

Woh shab-e hijr thi, charaagho'n par
Bhaid yeh aashkaar tha hi nahin

Main ny jis ko ghubaar samjha tha
Dar'haqeeqat ghubaar tha hi nahin

Main ny bhi poonchh daaly phir aansoo
Koii jab sogwaar tha hi nahin. 

Poet: Professor INAAM NADEEM 

Yoon mujhe kab talak saho gay tum

Yoon mujhe kab talak saho gay tum

Yoon mujhe kab talak saho gay tum.
Kab talak mubtala raho gay tum?

Dard mandi ki mat saza paao.
Ab to tum mujh sy tang aajaao.

Main koi markaz e hayaat naheen.
Waj'h e Takhleeq e kaayenaat naheen.

Mera har chaara gar nidhaal hua.
Yani, main kya hua? Wabaal hua.

Poet: Jon Elia

Tuesday, 18 February 2014

Na-khuda ki qasam kiya gya hy

Na-khuda ki qasam kiya gya hy

Na-khuda ki qasam kiya gya hy,
Tery jany ka gham kiya gya hy.

Kia ye kam hy keh aakhri bosaa,
Tujh jabee'n par raqam kiya gya hy.

Is liay roshni mein thandak hay,
Kuch chraagho'n ko namm kiya gya hy.

Kab tujhy bhoolny ka socha hy,
Kab Arab ko Ajam kiya gya hy.

Dhool mein att gaye hain saary ghazzaal,
Itni shiddat sy gham kiya gya hy.

Poet: Tehzeeb Hafi

Hamen jo yaad madine ka laala-zaar aaya

Hamen jo yaad madine ka laala-zaar aaya

Hamen jo yaad madine ka laala-zaar aaya.
Tasawwuraat ki dunya par ik nikhaar aaya.

Kabhi jo gunbad-e-khazra ki yaad ayi hy.
Barra sukoon mila hy barra qaraar aaya.

Yaqeen kar ky MUHAMMAD ky aastane par.
(sallallaho alaihe wasallam)
Jo bad-naseeb gya woh bhi kaamgaar aaya.

Hazaar shamsh-o-qamar raah-e-shoq se guzre.
Khayal-e-husn-e-MUHAMMAD jo bar bar aya.
(sallallaho alaihe wasallam)

Arab ke chand ne sehra basaa diye Saghir.
Woh saath le ky tajalli ka ik diyaar aaya.

Poet: Saghar Siddiqi

Sunday, 16 February 2014

Kitna mushkil hy tera hijr bitaana mery dost

Kitna mushkil hy tera hijr bitaana mery dost

Kitna mushkil hy tera hijr bitaana mery dost,
Tu kisi roz mujy dekhny aana mery dost.

Ik taraf dil ki sadaa aai ky main doob chala,
Ik taraf aankh pukaari ky bachaana mery dost.

Dil ka har zakhm alag kar ky dikhaoo'n kaisy,
Tu samajhta hi naheen tujh sy kaha na mery dost.

Aakhri waqt dharrakta howa dil daikhny dy,
Mery seeny sy zaraa haath hataana mery dost.

Ishq peeri mein bhi insa'n ko jawaa'n rakhta hy,
Hijr hota hy kisi taur puraana mery dost.

Titliya'n phool samajhti the mery rango'n ko,
Ab na wo rang na rango'n ka zamaana mery dost.

Poet: Mumtaz Gormani

Main Aaina Hoon, Tumhara Hi Aks Hai Mujh Me

Main Aaina Hoon, Tumhara Hi Aks Hai Mujh Me

* Main Aaina Hoon, Tumhara Hi Aks Hai Mujh Me.
* Raho Gy Kaise Salamat Jo Torr do Gay Mujhe.

11 Baatein 11 Baaton ko Khatam kar deti hen

 "11" baatein
"11" baaton ko khatam kr deti hain

1.Shirk
Emaan ko

2.Tauba
Gunah ko

3.Dukh
Zindagi ko

4.Ghussa
Aqal ko

5.Sadqa
Musibat ko

6.Chugli
Dosti ko

7.Namaz
Be-Hayai ko

8.Neki
Badi ko

9.Jhoot
Rizq ko

10.Zulm
Insaaf ko

Or

11.Takabur

Aamal ko.

Saturday, 15 February 2014

Zindgi ki nabz ghat'ti ja rhe the

Zindgi ki nabz ghat'ti ja rhe the

Zindgi ki nabz ghat'ti ja rhe the,
Ik nadi saahil sy hat'ti ja rhe the.

Koi mujh ko yaad aata ja rha tha,
Bail pathar sy lipat'ti ja rhe the.

Us ki baate'n dosto'n pe khul rhe theen,
Aik chaadar thee jo phat'ti ja rhe the.

Saans ka Tauqeer aara chal rha tha,
Zindagaani apni kat'ti ja rhe the.

Poet: Tauqeer Abbas

Aah ko doori e aflaak ka gham kha gya hy

Aah ko doori e aflaak ka gham kha gya hy

Aah ko doori e aflaak ka gham kha gya hy.
Dheeray dheeray muje idraak ka gham kha gya hy.

Koozagar goondh ky rakh daita hy ik samt muje.
Main vo miti hoon jisay chaak ka gham kha gya hy.

Jesay dunya min koi gham he na ho is ki siva.
Khaak zadon ko to bas khaak ka gham kha gya hy.

Hijr zaadi teri aankhon min ajab vehshat hy.
Tujhko kis khof ky paichaak ka gham kha gya hy.

Zehr aalood raha shoq se jo pehlay pehel.
Ab osi shakhs ko taryaaq ka gham kha gya hy.

Kunha saalon se yehii zakhm ayaan hen mesam.
Jinki uryani ko poshaak ka gham kha gya hy.

Poet: Meesam Naqvi

Ye darakhto'n ky saaye jo chup chaap hen

Ye darakhto'n ky saaye jo chup chaap hen

Ye darakhto'n ky saaye jo chup chaap hen,
Hum muhabbat zado'n ky yai humraaz hen.

Ab yaheen dekhna raat pichhlay pehar,
do dharktay dilo'n ki sada aa'ay gi.

Gham ka sooraj dhala, dard ka chaa'nd bhi,
bujh chalay aa'nsuo'n k diye aaj bhi.

Aur issi soch me'n ab sahar aa'ay gi,
Ab sahar aa'ay gi, ab sahar aa'ay gi.

Poet: Rasa Chughtai

Waqif-e raaz hy, imkaan ki hadd janta hy

Waqif-e raaz hy, imkaan ki hadd janta hy

Waqif-e raaz hy, imkaan ki hadd janta hy,
Ishq kab zohra jabeeno'n ko sanadd jaanta hy.

Aik bas aik ki takraar kiay jata hy,
Dil_e na-khwaanda faqat aik adadd janta hy.

Ye gahm_e yaar hy bhatkaa howa raahi na samajh,
Dhoond leta hy talab jaa_e rasadd janta hy.

Teri aankh0'n ki rasaai hy faqat aankh0'n tak,
Tu kaha'n hasrat_e deedaar ka qadd janta hy.

Poet: Rizwan Babur

Wo apne sath mujhe Qaid kar ky le jaye

Wo apne sath mujhe Qaid kar ky le jaye

Wo apne sath mujhe Qaid kar ky le jaye. 

Khuda kary koi Aisa Qasoor ho mujh se.

Meri takmeel main shamil hain kuch tere hissay

Meri takmeel main shamil hain kuch tere hissay

Meri takmeel main shamil hain kuch tere hissay,

Ham agar tujh se na milty to adhooray rehty.

Tairay siwa kisi ki tamanna karoo'n ga main

Tairay siwa kisi ki tamanna karoo'n ga main

Tairay siwa kisi ki tamanna karoo'n ga main.
Aisa kabhi huwa hai jo aisa karoo'n ga main.

Poet. Ajmal siraj

Friday, 14 February 2014

Main ne jab teergi ko apnaya

Main ne jab teergi ko apnaya

Main ne jab teergi ko apnaya,
Mujh sy naraaz tha mira saya.

Rat khush-fehmiyo'n ne dam torra,
Unko khwaabo'n ky sath dafnaaya.

Waqt-e rukhsat wo toot kar roya,
Main to itna bhe naheen kar paya.

Shehzadi ne jang per bheja,
Shehzada na laut kar aaya.

Kia kaha maikady mein raunq,
Jao jao, kaho keh main aaya.

Main muhbbat na kar saka Babur,
Ik dia tha jo jall naheen paaya.

Poet: Rizwan Babur

Koi rishta teray paemaan say jora jaey

Koi rishta teray paemaan say jora jaey

Koi rishta teray paemaan say jora jaey. .
ab meray hijr ko unwaan say jora jaey. .
'
qissa.e.husn ko kin'aan say jora jaey. .
ishq ko phir kisi zindaan say jora jaey. .
'
ashk seenay say ravana hoay ankho'n ki traf..
un ke tughyaani ko tofaan say jora jaey. .
'
yeh to panchi hen naii rut men palat jaen gay..
rabt kesay kisi mehmaan say jora jaey. .
'
teri tehzeeb say wehshat ko bhe khaof aata hy. .
teri bsti ko byabaan say jora jaey. .
'
Rab ny janat bhe bnaee hy isi kee khatir. .
kisi khush'fehmi ko insaan say jora jaey. .
'
qaid hoti hy bhala NAZ kaheen nik'hat.e.gul?
phool ko kis liay gul'daan say jora jaey. .

Poet: Naeem Naaz

HaM DASHT Ky BASI HN AY SHEHR Ky LOGO

HaM DASHT Ky BASI HN AY SHEHR Ky LOGO

HaM DASHT Ky BASI HN AY SHEHR Ky LOGO,
YE ROOH PYASI HaMEn WIRSE MeN MILi Hy,

JO HAaTH Bhi THAMA Hy SaDA sath RaHA Hy,
AHBaAB SHaNAaSI HaMEn WIRSE MeN MILi Hy,

JO BAaT Bhi KEHTE HeN UTeR JAaTI Hy DIL MeN,
TAaSEeR JUDA si HaMEN WIRSE MeN MILE Hy.

Poet: Syed Sabir Shah

Jaany waalon ko naheen rok saky

Jaany waalon ko naheen rok saky

Jaany waalon ko naheen rok saky.
Jeeny waalon sy shikaayat hy mujy

Teray aany pe khush to tha main bhi

Teray aany pe khush to tha main bhi

Teray aany pe khush to tha main bhi,
Phool phainkay nahee'n gaye mujh sy.

Poet: Tehzeeb Hafi

Agar wo pooch len ham sy, tumhen kis baat ka gham hy

Agar wo pooch len ham sy, tumhen kis baat ka gham hy

Agar wo pooch len ham sy, tumhen kis baat ka gham hy?
To phir kis baat ka gham ho, agar wo pooch len ham sy?

Aisa bhi ab naheen hay ky hum sar na kar sake'n

Aisa bhi ab naheen hay ky hum sar na kar sake'n

Aisa bhi ab naheen hay ky hum sar na kar sake'n.

Tujhko bhulana itna barra maa'rka naheen.

Poet: Kazim Hussain Kazim.

Han main hansnay ki justju men tha

Han main hansnay ki justju men tha

Han main hansnay ki justju men tha.
Han main nakaam ho gaya hoon phir.

Poet: Kazim Hussain Kazim.


Shukriya khawab ki inaayat ka

Shukriya khawab ki inaayat ka

Shukriya khawab ki inaayat ka.

Mujh say andhay bhi dekh letay hain.

Poet: Kazim Hussain Kazim

Bol do dil ki bat hum tera raaz rakhein gae


Bol do dil ki bat hum tera raaz rakhein gae, 
Keh do aaj har ik baat hum tera raaz rakhein gae, 

Tum ko hum se chahat hai ya nafrat kiya pata, 
Kardo apne jazbat ka izhar hum tera raaz rakhein gae, 

Mat samajhna k tum ko ruswa kareinge zamane mein, 
Qasam hai hum ko teri yar hum tera raaz rakhein gae, 

Mat ghabrao zamane ki uljanon se 
Bataa do aaj har ik raaz hum tera raaz rakhein gae,!!


Us bewafa se bhala rishta mita kesy dun.


Us bewafa se bhala rishta
mita kesy dun.

Wo JAAN hai meri usy
bhola kesy dun.

Apni roh me basa k jise
pyar kya tha,

Sochta hun usy ab dagha
kesy dun.

Kitne khwab sajaye thy
meri in ankhon ne,

Men apna har khwab
bhala jala kesy dun.

Wo roye ga to ansu mere
b niklein ge,

Us ki bewafai ki usy saza
kesy dun.

Wo kehta hai k us ki
khushi ki dua mangon
men,

Par wo kisi or ka ho jaye
usy ye dua kesy dun...???????????

Aakhari Khat Na Parh Saka Main Bhi

Aakhari Khat Na Parh Saka Main Bhi

Aakhari Khat Na Parh Saka Main Bhi, 
Aas Kiya Deta Roo Diya Main Bhi. 

Sirf Sun'ney Ki Taab Thi Shaayad, 
Wo Bhi Khaamoshi Chup Raha Main Bhi. 

Hijar Ki Sakhat Sard Raaton Mein, 
Wo Bhi Jaltaa Raha Jala Main Bhi. 

Aaj Wo AAP Par Hi Tehra Raha, 
Faasley Rakh Ky Hi Mila Main Bhi. 

Orrh Li Us Ne Chehrey Par Ronaq, 
Saamney Sab K Khush Raha Main Bhi. 

Ghalti Se Aankhain Chaar Hote Hi, 
Sakht Mohtat Tar Howa Main Bhi. 

Wo Bhi Ulti Kitaab Parhney Laga, 
Kal K Akhbaar Mein Chapaa Main Bhi. 

Gudiyaan, Gudde Ka Khel Tha Shaayad, 
Mutma'inn Ho K So Gaya Main Bhi. 

Umar Bhar Us Ko Ishq Ho Na Saka, 
Aur Ek Roz Jal Bujha Main Bhi. 

Har Taraf Laila Laila Hote Dekh. 
Ban Gaya Phir sy Be-Wafaa Main Bhi...!!

Mujh Pe Kyun Is Tarha Se Hansta Hai???



Mujh Pe Kyun Is Tarha Se Hansta Hai
Dil Bari Mushkilon Se Basta Hai

Meray Gaaon K Ghar Hain Sab Kachay
Aray Badal Kahan Barasta Hai

Jo Kabhi Lout Kar Nahi Aaey
Un Se Milney Ko Dil Tarasta Hai

Aashqi Ka Muqaam Kia Hoga
Jahan ulfat Ka Daam Sasta Hai

Teray Janay K Baad Janay Kyun
Har Koi Shakhs Mujh Pe Hansta Hai

Meri Manzil Jisay Samjh Baithay
Woh Meri Khuwahishon Ka Rasta Hai

Dost Kehtay Ho Us Ko Kyun
Jo Tujhe Har Qadam Pe Dasta Hai.....!


Teri Aankhein , Tabassum Lab , Teri Zulfein Bikharny Tak..!


Teri Aankhein , Tabassum Lab , Teri Zulfein Bikharny Tak .. . 
Bhula Paoon Ga Kya Kya Main Milan Sey Phir Bicharrnay Tak .. . 


Mera Jeewan Andheron Mein Andhera Ban Gaya Ab To .. . 
Kahin Ab Kho Na jaon Main , Naya Sooraj Ubharny Tak .. . 


Mujhe Maloom Tha Kab Ye , Hamein Aisay Bicharrna Hai .. . 
Hamein To Sath Chalna Tha , Isi Chahat Mein Marnay Tak .. . 


Meri To Zindagi Mein Har Inayat Bas Usi ki Thi , 
Mujhe Aabaad Karnay Sey , Mujhe Barbaad Karnay Tak .. . 


Jo Bigrra Hun to Ab Aasaan Nahi Mera Sudhar Jana , 
Bohat Hi Waqt Lagta Hai , Bigarrnay Say Sudharnay Tak...!!!

Rukhsar Aisay Timtimaty Hain Janab K



Rukhsar Aisay Timtimaty Hain Janab K
Pehnay Hon Jaisy Chaand Ne Gajrey Gulaab K

Likha Hai Tera Naam Bhi Chahat K Khoon Say
Aao Warq Dikhaon Main Dil Ki Kitaab K

Itni Pila Day Aaj K Ji Bhar K Royen Hum
Niklen Hamari Aankh Say Aanso Sharaab K

Utra Wo Is Tarha Se Samandar Ki Goad Mein
Jitney Bhanwar Thay So Gaye Pehlu Mein Aab K

Didaar-e-Yaar Bolye Kaisey Ho Aaj Kal
Pehray Hain Chaand Chehray Pay Kalay Naqaab K

Mil Kar Tamaam Raat Woh, Phir Bhi Nahi Mila
Suraj Bata Gaya Hai, Ye Dhokay Thay Khawab K....!


Jab Tak Gham-e-Jahaan K Hawaley Huey Nahi


Jab Tak Gham-e-Jahaan K Hawaley Huey Nahi
Hum Zindagi K Janney Walay Huey Nahi

Kehta Hai Aftaab Zara Daikhna Keh Hum
Doobay Thay Gehri Raat Mein, Kalay Huey Nahi

Chaltey Ho Seena Taan K Dharti Pe Kis Liye
Tum Aasman Tou Sar Pe Sanbhaley Huey Nahi

Anmol Woh Gohar Hein Jahan Ki Nigaah Mein
Darya Ki Jo Tehon Se Nikaley Huey Nahi

Tay Ki Hai Hum Ne Soorat-e-Mehtab Rah-e-Shab
Tool-e-Safar Se Paaon Mein Chhaley Huey Nahi

Dus Lein tou In K Zehar ka Aasan Hai Utaar
Yeh Saanp Aasteen K paley Huey Nahi

Teeshay Ka Kaam Raisha-e-Gul Se Liya Shakeeb
Hum Se Pahaarr Kaatney Walay Huey Nahi...!!


Kia Kaheiye Keh Ab Uski Sada Tak Nahi Aati




Kia Kaheiye Keh Ab Uski Sada Tak Nahi Aati
Oonchi Hon Faseelein Tou Hawa Tak Nahi Aati

Shayad He Koi Aa Sakay Is Morr Se Aagay
Is Morr Se Aagay Tou Qaza Tak Nahi Aati

Woh Gul Na Rahey Nikbat-e-Gul Khaak Milay Gi
Yeh Soch K Gulshan Mein Saba Tak Nahi Aati

Is Shor-e-Talatum Mein Koi Kis Ko Pukarey
Kaano Mein Yahan Apni Sada Tak Nahi Aati

Khuddaar Hoon Kiun Aaon Dar-e-Abl-e-Karam Par
Khailti Kabhi Khud Chal Kar Ghata Tak Nahi Aati

Us Dasht Mein pairron K Nishaan Dhoond Rahey Ho
Pairron Se Jahan Chhan K Ziya Tak Nahi Aati

Ya Jati Hui Mujh Se Lipat Jati Thi Shakhein
Ya Meray Bulaney Se Saba Tak Nahi Aati

Kia Khushk Hua Sroshniyon Ka Woh Samandar
Ab Koi Kiran Aabla Paa Tak Nahi Aati

Chhup Chhup K Sada Jhankti Hai Khalwat-e-Gul Mein
Mehtaab Ki Kirno Ko Haya Tak Nahi Aati

Yeh Kon Bataey Adam Abaad Hai Kaisa
Tooti Hui Qabron Se Sada Tak Nahi Aati

Behtar Hai Palat Jao Siyah Khan-e-Gham Se
Is Ghufa Mein Tou Hawa Tak Nahi Aati…………