Shajar to ik bahana tha faqeero
Hamain jannat sey aana tha faqeero
Naya tha mera andaaz e takallum
Magar qissa purana tha faqeero
Khud apney gaal ko thapka lia hai
Hamain kis ney manana tha faqeero
Main apni dhun mai chalta ja raha tha
Merey peechey zamana tha faqeero
Woh jin ki aankh ka aansu hai dunya
Unhain rahbar banana tha faqeero
Jo kal hanstey thay, phir un key labo'n par
Sakoot e mujrimana tha faqeero
Kaha'n hai raat ka jaaga musafir
Usey tou ley key aana tha faqeero
Poet: Hamid Rasul Musafir
No comments:
Post a Comment