Tuesday, 18 March 2014

Na Sama’aton Mein Tapish Ghuley

Na Sama’aton Mein Tapish Ghuley

Na Sama’aton Mein Tapish Ghuley
Na Nazar Ko Waqf-E-Azaab Kar
Jo Sunai Day Usay Chup Sikha
Jo Dikhai Day Usay Khuwaab Kar

Abhi Muntashir Na Ho Ajnabi
Na Visaal Rutt K Karam Jata
Jo Teri Talash Mein Gum Huey
Kabhi Un Dino Ka Hisaab Kar

Meray Sabar Par Koi Ajar Kiun
Meri Dopehar Par Yeh Abar Kiun
Mujhe Orrhney Day Aziyatein
Meri Aadatein Na Kharab Kar

Kaheen Aablo’n K Bha’nwar Bachein
Kaheen Dhoop Roop Badan Sajein
Kabhi Dil Ko Thal Ka Mijaaz Day
Kabhi Chashm-E-Tar Ko Chanaab Kar

Yeh Hujoom-E-Shehr-E-Sitam Garaan
Na Suney Ga Teri Sada Kabhi
Meri Hasraton Ko Sukhan Suna
Meri Khuwahishon Se Khitaab Kar

Yeh Juloos-E-Fasl-E-Bahaar Hai
Tehi Dast-E-Yaar Saja Issay
Koi Ashk Phir Se Sharar Bana
Koi Zakhm Phir Se Gulaab Kar….

No comments:

Post a Comment