Chaman mein jb guloon ka rang laal kr dia gaya
Usay wahan b aaina misaal kr dia gaya
.
Hawa bahut hi taiz thi, main us ki baargah tk
Khbar nahi k kis trah sanbhaal kr ''diya'' gaya?
.
Abhi to Main Thakan utaar hi raha tha, umr ki
Kahan guzaari zindagi ? sawal kr dia gaya
.
Wo aainay mein aa k aik pall ko muskra diay
Jala Dia gaya diya, kamal kr dia gaya
.
Mujhay to us ne apna khwab keh k bhoolna hi tha
Khuda ka shukr wo mera Khayaal kr dia gaya
.
Wo Titlioon k Rang daikh kr na shaakh chhorr day
Gulaab ko b saahib e Jamal kr dia gaya
.
Mujhay Kunwain mein chhorr jaanay waloon ko khabar nahi
Mera khuda se Rabta bahaal kr dia gaya
.
Prindgaa'n, na Rang o Bu, na Titliaa'n hain chaar su
Hmaray baad kia chaman ka haal kr dia gaya..?
Poet: Mumtaz Gurmani
No comments:
Post a Comment