Mitti Tha Main Khameer Teray Naaz Se Utha
Phir Haft Aasmaan Meri Parwaaz Se Utha
Insaan Ho, Kisi Bhi Sadi Ka, Kaheen Ka Ho
Yeh Jab Utha Zameer Ki Aawaaz Se Utha
Subah-E-Chaman Mein Aik Yehi Aaftaab Tha
Iss Aadmi Ki Laash Ko Aizaaz Se Utha
So Kartabon Se Likha Gaya Aik Aik Lafz
Lekin Yeh Jab Utha Kisi Ejaaz Se Utha
Ay Sheh-Sawaar-E-Husn Yeh Dil Hai Yeh Mera Dil
Yeh Teri Sar-Zameen Hai , Qadam Naaz Se Utha
Mein Pooch Loon K Kia Hai Mera Jabr-O-Ikhtiyar
Ya Rab Yeh Mas'ala Kabhi Aaghaaz Se Utha
Woh Abr Shabnami Tha K Nehla Gaya Wujood
Mein Khuwaab Dekhta Huwa Alfaaz Se Utha
Shaair Ki Aankh Ka Woh Sitara Huwa Aleem
Qaamat Mein Jo Qayamti Andaaz Se Utha.....
No comments:
Post a Comment