Monday, 24 March 2014

Quli Qutub Shah - Introduction and Poetry

Muhammad Quli Qutub Shah
His complete name: Muhammad Quli Qutub Shah. He was born in 1565 B.C at Walie Golkanda, during the reign of King Akbar. Quli Qutub Shah has used many pen-names in the collection of his poetry, but his most used pen-names are: Qutub, Qutub Sheh and Ma'aani. A collective "Deewan" is his memorable collection of his poetry.

Quli Qutub Shah was the first urdu poet to own a "Deewan" of his poetry. In past days, the title of First Urdu Poet having "Deewan" was being awarded to Wali Dakni (just because of people having no research). Because of old language and difficult words used by Quli Qutub Shah, a common reader cannot understand his poetry.

Quli Qutub Shah was fond of construction of buildings. It is very popular that Quli Qutub shah married his love "Bagmati" and gave her the title of "Hyder Mahal". And he changed the name of a city from "Bagmati Nagar" to "Hyderabad".
Due to heavy drinking of alcohol Quli Qutub Shah died at the age of 46 years in 1611 B.C.
Click on image to enlarge

Sunday, 23 March 2014

Gir Jaayein Zameen Par To Sambhaly Naheen Jaaty

Gir Jaayein Zameen Par To Sambhaly Naheen Jaaty

Gir Jaayein Zameen Par To Sambhaly Naheen Jaaty..
Bazaar Mein Dukh Dard Uchhaly Nahin Jaaty..

Aankhon Say Nikalty Ho Magar Dhiyaan Mein Rehna..
Tum JAisy Kabhi Dil sy Nikaaly Nahin Jaaty..

Ab Mujh sy In Aankhon Ki Hifazat Nahin Hoti..
Ab Mujh say Tery Khuwaab Sambhaly Nahin Jaaty..

Jungle K Ye P0ddey Hain Inhein Chhorr Do MOHSIN,,
Gham Aap Jawan Hoty Hain..! Paaly Nahin Jaaty..

Poet: Mohsin Naqvi

Bus Ek Maafi, Hamari Tauba, Kabhi Jo Aisay Sataayein Tum Ko

Bus Ek Maafi, Hamari Tauba, Kabhi Jo Aisay Sataayein Tum Ko

Bus Ek Maafi, Hamari Tauba, Kabhi Jo Aisay Sataayein Tum Ko, . . !!!
Lo Haath Joray, Lo Kaan Pakray, Ab Aur Kaisay Manaayein Tum Ko?

Jo Such Kahain To,Tumhain Toh Ghussay Ne Aur Dilkash Bana Diya Hai,
Humaray Mann Ko To Soojhta Hai Abb Aur Ghussa Dilaayein Tum Ko,

To Kiya Tum Abb Tak,Hamaari Nazron Ke Sub Taqaazon Se Bay-Khabar Ho?
Hamain Muhabbat Hai Tum Se Pagal.. Abb Aur Kaisay Bataayein Tum Ko?

Bataaya Tum Ko Bichartay Lamhay Labon Ki Larzish Ka Kiya Sabab Tha?
Sunna Tha Waqt-e-Qabooliyat Hai ,So De Rahay Thay Duaayein Tum ko.

Kabhi GumSum, kabhi Arzaan, kabhi Nayab rakhta hy

Kabhi GumSum, kabhi Arzaan, kabhi Nayab rakhta hy

Kabhi GumSum, kabhi Arzaan, kabhi Nayab rakhta hy,
Mujhy Mera Junoo'n Aksar bohat Betaab rakhta hy!

Ye Mumkin tha Main is Wehshat k Mosam men Bikhar jata,
Magar ik Phool sa Lehja Mujhy Shadab rakhta hy!

Ajab Uski ye Aadat hy k Aksar Meri Aankho'n mein,
Kabhi Taray Sajjata hy, Kabhi Sailaab rakhta hy!

Suna hy Hijar ki Wehshat Usy SarShaar karti hy,
Saja kar Ab bhi Aankhon mein Wo saary khwab rakhta hy!

HIJAAB Uska ye kehna hy Sadaa Tareek Raato'n mein,
Tasawar ko Mere Wo Soorat e  Mahtaab rakhta hy.

Wednesday, 19 March 2014

Na Gubaar MeiN Na Gulaab MeiN Mujhe Dekhanaa

Na Gubaar MeiN Na Gulaab MeiN Mujhe Dekhanaa

Na Gubaar MeiN Na Gulaab MeiN Mujhe Dekhanaa
Mere Dard Kii Aab-O-Tab MeiN Mujhe Dekhanaa,

Kisii Vaqt Shaam Malaal MeiN Mujhe Sochanaa
Kabhii Apane Dil Kii Kitaab MeiN Mujhe Dekhanaa,

Kisii Dhun MeiN Tum Bhii Jo BastiyoN Ko Tyaag Do
Isii Rah-E-Khaanaa_Kharaab MeiN Mujhe Dekhanaa,

Kisii Raat Maah-O-Najuum Se Mujhe Puuchhanaa
Kabhii Apanii Chashm e Pur_aab MeiN Mujhe Dekhanaa,

Isii Dil Se Ho Kar Guzar Gaye Kaii KaaravaaN
Kii HijratoN Ke Zaab MeiN Mujhe Dekhanaa,

MaiN Na Mil SakuuN Bhii To Kyaa Huaa Ke Fasaanaa HuuN
Na_ii DaastaaN Naye Baab MeiN Mujhe Dekhanaa,

Mere Khaar Khaar Savaal MeiN Mujhe DhuuNDhanaa
Mere Giit MeiN Mere Khvaab MeiN Mujhe Dekhanaa,

Mere Aa.NsuoN Ne Bujhaaii Thii Merii Tashnagii
Isii Barg_ziidaa Sahaab MeiN Mujhe Dekhanaaa,

wohii Ik Lamhaa Diid Thaa Ke Rukaa Rahaa
Mere Roz-O-Shab Ke Hisaab MeiN Mujhe Dekhanaa,

Jo Tarap Tujhe Kisii Aaiiney MeiN Na Mil Sake
To Phir Aaiiney Ke Javaab MeiN Mujhe Dekhanaa...!

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo
*
Tm Ne Bhe Suni Ho Gi Bari Aam Kahawat Hai
Anjam Ka Ho Khatra Aghaz Badal Dalo
*
Pur Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye
Sur Hi Na Mile Jis Main Wo Saaz Badal Dalo
*
Dushman K Iradon Ko Hai Zahir Agar Karna
Tum Khail Wohi Khelo Andaz Badal Dalo
*
Ay Dost Karo Himat Kuch Door Sawaira Hai
Gar Chatay Ho Manzil Parwaaz Badal Dalo..!

Tuesday, 18 March 2014

Rakhi hy is liye bhi shanasaayi kam sy kam

Rakhi hy is liye bhi shanasaayi kam sy kam

Rakhi hy is liye bhi shanasaayi kam sy kam
Main chahta tha shahar main ruswai kam sy kam


Har chund mustahaq tha main es sy zeyada ka
Lekin huyi hy meri pazeerayi kam sy kam


Apna mazaaq mujh sy uraya naheen gya
Koshish ky bawujood hansi aayi kam sy kam


Wapis to mil gyi hy mujy zindgi magar
Khud ko mery liye wo bcha layi kam sy kam


Poet Abbas tabish

Shajar to ik bahana tha faqeero

Shajar to ik bahana tha faqeero

Shajar to ik bahana tha faqeero
Hamain jannat sey aana tha faqeero


Naya tha mera andaaz e takallum
Magar qissa purana tha faqeero


Khud apney gaal ko thapka lia hai
Hamain kis ney manana tha faqeero


Main apni dhun mai chalta ja raha tha
Merey peechey zamana tha faqeero


Woh jin ki aankh ka aansu hai dunya
Unhain rahbar banana tha faqeero


Jo kal hanstey thay, phir un key labo'n par
Sakoot e mujrimana tha faqeero


Kaha'n hai raat ka jaaga musafir
Usey tou ley key aana tha faqeero


Poet: Hamid Rasul Musafir

Chaman mein jb guloon ka rang laal kr dia gaya

Chaman mein jb guloon ka rang laal kr dia gaya

Chaman mein jb guloon ka rang laal kr dia gaya
Usay wahan b aaina misaal kr dia gaya
.
Hawa bahut hi taiz thi, main us ki baargah tk
Khbar nahi k kis trah sanbhaal kr ''diya'' gaya?
.
Abhi to Main Thakan utaar hi raha tha, umr ki
Kahan guzaari zindagi ? sawal kr dia gaya
.
Wo aainay mein aa k aik pall ko muskra diay
Jala Dia gaya diya, kamal kr dia gaya
.
Mujhay to us ne apna khwab keh k bhoolna hi tha
Khuda ka shukr wo mera Khayaal kr dia gaya
.
Wo Titlioon k Rang daikh kr na shaakh chhorr day
Gulaab ko b saahib e Jamal kr dia gaya
.
Mujhay Kunwain mein chhorr jaanay waloon ko khabar nahi
Mera khuda se Rabta bahaal kr dia gaya
.
Prindgaa'n, na Rang o Bu, na Titliaa'n hain chaar su
Hmaray baad kia chaman ka haal kr dia gaya..?

Poet: Mumtaz Gurmani

Woh dard woh wafa, wo muhabbat tamaam shudd

Woh dard woh wafa, wo muhabbat tamaam shudd


Woh dard woh wafa, wo muhabbat tamaam shudd,
Ly dill mein tery  qurb ki hasrat Tamaam shudd,

Yeh baad mein khuly ga ky kis kis ka  khoon hua??
Har ik bayaan khatam , Adalat tamaam shudd,

Tou ab to dushmani k  bhi qabil naheen raha,
Uth'ti thi jo kabhi  wo adawat tamaam shudd,

Ab rabt ik naya mujhy awaargi sy hai,
Pabandi E Khayaal ki aadat tamaam shudd,

Jai'z thi ya nahi  thi tery haq main magar,
Karta tha jo kbhi wo wakalat tamaam shudd,

Wo roz roz marny ka qissa hua tamaam ,
Wo rooz dill  ko cherhti wehshat tamaam shudd,

Mohsin main kunj E  Zeest mein chup chaap hun para,,,
majnoo'n ki c wo khaslat O Halat tamaam Shudd...!!!!

Na Sama’aton Mein Tapish Ghuley

Na Sama’aton Mein Tapish Ghuley

Na Sama’aton Mein Tapish Ghuley
Na Nazar Ko Waqf-E-Azaab Kar
Jo Sunai Day Usay Chup Sikha
Jo Dikhai Day Usay Khuwaab Kar

Abhi Muntashir Na Ho Ajnabi
Na Visaal Rutt K Karam Jata
Jo Teri Talash Mein Gum Huey
Kabhi Un Dino Ka Hisaab Kar

Meray Sabar Par Koi Ajar Kiun
Meri Dopehar Par Yeh Abar Kiun
Mujhe Orrhney Day Aziyatein
Meri Aadatein Na Kharab Kar

Kaheen Aablo’n K Bha’nwar Bachein
Kaheen Dhoop Roop Badan Sajein
Kabhi Dil Ko Thal Ka Mijaaz Day
Kabhi Chashm-E-Tar Ko Chanaab Kar

Yeh Hujoom-E-Shehr-E-Sitam Garaan
Na Suney Ga Teri Sada Kabhi
Meri Hasraton Ko Sukhan Suna
Meri Khuwahishon Se Khitaab Kar

Yeh Juloos-E-Fasl-E-Bahaar Hai
Tehi Dast-E-Yaar Saja Issay
Koi Ashk Phir Se Sharar Bana
Koi Zakhm Phir Se Gulaab Kar….

Friday, 14 March 2014

Ik ik pathar jor k main ny jo deewaar bnai hai

ik ik pathar jor k main ny jo deewaar bnai hai

ik ik pathar jor k main ny jo deewaar bnai hai,
jhaankon uss k peechy tow ruswaai he ruswaai hai..

Youn lgta hai soty jaagty oroon ka mohtaaj  hoon main,
Ankhien meri apni hain par un mein neend parai hai..

Dekh rahy hain sab hairat sy neely neely paani ko,
pochy kon samundar sy tujh mein kitni gehraai hai??

sab kehty hain ik jannat utri hai meri dharti par,
main dill mein sochon shaid
kamzoor meri benaayi hai..

Bahar sehan mein pairoon par kuch jalty bujhty  jugnu hain,
hairat hai phir ghar k andar kis ny aag lgai hai??

Aaj hua maloom mujhy iss sheher k chnd sayanoon sy,
apni rah badalty rehna sab sy bari danai hai..

tor gay paimaan _E_wafa iss dor  main kesy kaisy log,,
yeh mat soch qateel k ik yaar tera harjaai hai..!

Tumhaary aks ko aankhon mein hum tasveer kar lety

Tumhaary aks ko aankhon mein hum tasveer kar lety

Tumhaary aks ko aankhon mein hum tasveer kar lety..
zara jo tum theher jaaty koi tadbeer kar lety,

Tumhaara haath mery haath sy youn choot jay ga..
Agar mujh ko khabar hoti issy zanjeer kar lety..

Sunehry khuwaab thy mery tumhaari jheel aankhon mein..
hum inn mein doob jaty or phir tabeer kar lety,,

Bicharty waqt chehry par jo sadiyoun ki udaasi thi..
Agar hum hosh mein hoty ussy tehreer kar lety..!!

Mitti Tha Main Khameer Teray Naaz Se Utha

Mitti Tha Main Khameer Teray Naaz Se Utha

Mitti Tha Main Khameer Teray Naaz Se Utha
Phir Haft Aasmaan Meri Parwaaz Se Utha

Insaan Ho, Kisi Bhi Sadi Ka, Kaheen Ka Ho
Yeh Jab Utha Zameer Ki Aawaaz Se Utha

Subah-E-Chaman Mein Aik Yehi Aaftaab Tha
Iss Aadmi Ki Laash Ko Aizaaz Se Utha

So Kartabon Se Likha Gaya Aik Aik Lafz
Lekin Yeh Jab Utha Kisi Ejaaz Se Utha

Ay Sheh-Sawaar-E-Husn Yeh Dil Hai Yeh Mera Dil
Yeh Teri Sar-Zameen Hai , Qadam Naaz Se Utha

Mein Pooch Loon K Kia Hai Mera Jabr-O-Ikhtiyar
Ya Rab Yeh Mas'ala Kabhi Aaghaaz Se Utha

Woh Abr Shabnami Tha K Nehla Gaya Wujood
Mein Khuwaab Dekhta Huwa Alfaaz Se Utha

Shaair Ki Aankh Ka Woh Sitara Huwa Aleem
Qaamat Mein Jo Qayamti Andaaz Se Utha.....


Tuesday, 4 March 2014

Nazar se nazar tum milane se pehly

Nazar se nazar tum milane se pehly

Nazar se nazar tum milane se pehly
Zara soch lo dil lagaane se pehly

Zara us k dil main bhi tum jhaank lena
Use raaz dil ka bataane se pehly

Main ye janta hun meri zindgi mein
Koi gham na tha tere aane se pehly

Bohat roya ho ga wo apni khata par
Saza muj ko gham ki sunane se pehly

KHUDA rooth jata he ye soch lena
Kisi dil ko itna dukhane se pehly

Kahin jal na jao khud is aag main tum
Kisi aur ka ghar jalaane se pehle

Monday, 3 March 2014

Zameer Soorat-E-Badr-E-Muneer Rakhtay Hain

Zameer Soorat-E-Badr-E-Muneer Rakhtay Hain

Zameer Soorat-E-Badr-E-Muneer Rakhtay Hain
Yeh Ek Siffatt Tau Yaqeenan Faqeer Rakhtay Hain

Aggar Mizaaj Tera Mujh Say MiL Nahien Sakta
Teray KheyaL Mujhay Kiyoon Aseer Rakhtay Hain

Barri Khushi Say Humein Loot Lo Pari-Zaado
Keh Hum Mataa-E-Mohabbatt Kaseer Rakhtay Hain

Beghair Ess Kay Na Jaaye Gi Badd-Zani Un Ki
Hum Aaj Apnay KaLejay Ko Cheer Rakhtay Hain

Tawaan-Gari Ka Tau DiL Hi Say Waastah Hai Addam
Kushadah-Zarf Bahut Kamm Ameer Rakhtay Hain

Poet: Abdul Hamid Adam