Nigar-e Ja'n Ne Sahi Hain Aziyatein Kya Kya/
Tray Tufail Hui Hain Nawazishein Kya Kya.
¤
Tilism-e Waqt Ne Aisay B Din Dikhaey Hain/
Keh Doorio'n Mein Hui'n Dafn Qurbatein Kya Kya.
¤
Gulo'n Ki Zaat Mein Paiwast Hai Lataafat, Gar/
To Nok-e Khaar Pe Raqsa'n Hain Wahshatein Kya Kya.
¤
Sitam K Baad Sitam Tha Hamari Qismat Mein/
Keh Khushk Sahra Pe Barsi Hain Barishein Kya Kya.
¤
Wujood Tha Keh Adam Hr Qadam Pe Saath Raha/
Zamee'n K Saath Jurri Hain Rafaaqatein Kya Kya.
¤
Kashish Se Khaak Ki Koi Nahin Mafar Saqib/
Keh Rizq-e Khaak Hui Hain Shabahatein Kya Kya.
¤
Poet:
MANZOOR SAQIB
No comments:
Post a Comment