Sunday, 23 November 2014

Kinaar-e-aabju har roz jaaya karta tha


Kinaar-e-aabju har roz jaaya karta tha
Main chaand raat me picnic mnaya krta tha

Kabhi kmand-e-nazar phenkna tha shughl mera
Patang sy kabhi paichy larraaya karta tha

Tamaash-been mujhy dekhty thy herat sy
Naye naye main tmaashy dikhaya karta tha

Sr-e-zmeen-e-sukhan khama-e-tkhaiyul sy
Main harf jorr kar pekar bnaya karta tha

Main dopehr me kabhi Adsa-e-muhaddab sy
Dareeda per-han apna jalaaya karta tha

Wo kon shakhs tha jo raat k andhery me
Gali k morr pe har roz aaya karta tha

Wo din b khoob thy khurshid jab trannum sy
Mri ghazal wo mujhi ko sunaya karta tha..!!

Poet: Khurshid Baig Mailsvi

No comments:

Post a Comment