Friday 28 November 2014

Kamry Mein Hai Bikhra Hua Saaman Waghera,


Kamry Mein Hai Bikhra Hua Saaman Waghera


Kamry Mein Hai Bikhra Hua Saaman Waghera,
Khatt, Khuwab, Kitaaben, Gul-o-Guldaan Waghera,

In Mein Se Koi Hijar Mein Emdaad Ko Aaye,
Jinn, Dev, Pari, Khizar, Ya Luqman Waghera,

Tu Aaye To Gatthri Mein Tujhe Baandh K De Don,
Dil, Jaan, Nazar, Soch, Ye Emaan Waghera,

Bs Eshq K Murshid Se Zara Khaufzada Hun,
Jheela Hai Bohat Waisy To Nuqsan Waghera...!!!


Mohabbat Se, Inaayat Se, Wafa Se, Chot Lagti Hai,

Mohabbat Se, Inaayat Se, Wafa Se, Chot Lagti Hai

Mohabbat Se, Inaayat Se, Wafa Se, Chot Lagti Hai,
Bikhartaa Phool Hun, Mujh Ko, Hawaa Se, Chot Lagti Hai ... !


Meri Aankhon Mein, Aansu Ki Tarah, Eik Raat Aa Jaao,
Takalluf Se, Banaawat Se, Adaa Se, Chot Lagti Hai ... !!

Main Shabnam Ki, Zabaan Se, Phool Ki, Aawaz Sunta Hoon,
Ajab Ahsaas Hai, Apni Sadaa Se, Chot Lagti Hai ... !!!

Tujhe Khud, Apni Majboori Kaa, Andaaza Nahin Shaayad,
Na Kar Ahad-E-Wafa, Ahad-E-Wafa Se, Chot Lagti Hai ...~!



Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye

Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye Ghamon ne Chaat Liya, Gham-Kisar Ab Aye

Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye
Ghamon ne Chaat Liya, Gham-Gusaar Ab Aye

Ye Waqt Is Tarha Rone Ka To Nahi Lekin
Main Kya Karun K Mere SoGawar Ab Aye

Wo Dhoop Dhoop Hi Mein Ho gya Basar Chup Chap
Shajar Shajar Pe Mere Barg-o-Bar Ab Aye

Wo Jin Pe Dhoka Sa Jheela Tha Hum Ne Manzil Ka
Wo Qafilay To Sar-e-RahguZar Ab Aye

Na Dailion Pe Koi Phool Hai No HonTon Par
Maza To Jab Hai K Bad-e-Bahar Ab Aye

Ab Door Hi Reh. Ya Mil Sajna


Ab Door Hi Reh. Ya Mil Sajna
Tujhay Sonp Diya Hai Dil Sajna

Ab Khushbu Har Su Phailay Gi
Ik Zakham Gaya Hai Khil Sajna

Har Raat Teray Bin Seenay Par
Hai Dhari Hui Ik Sil Sajna

Har Husan Main Waar Du Tum Par Say
Kaya Aankhain,Aariz,Til Sajna

Seenay Main Meetha Meetha Dukh'
Aankhon Main Hai Jhilmil Sajna






tujhy hee Dhondhti thien bass..


tujhy hee Dhondhti thien bass..


terey baad mar gai aankhein...!


Raah_E-Khaloos mein paida dushwariyaan na kr,


Raah_E-Khaloos mein paida dushwariyaan na kr,
Chahat nahi to  hum se adakariyaan na kar..


Lafzoon se khelny ki zroorat nahi tujhy,
saada dilon se yeh fanakriyaan na kar,,

jinn se nahi muhabat unhein mu bhi Mat Laga ,
Be_WAjah har dukaan se kharidaariyaan na kr..

iss SHughal_E-be_Jawaaz se kya faida tujhy,
dill mat dukha kisi ka dill Azaariyaan na kr..!!!!


Sunday 23 November 2014

Ay Khuda Mujh Mein Ye Barpa Kya Hy


Ay Khuda Mujh Mein Ye Barpa Kya Hy?
Be-Khudi Ka Ye Tmaasha Kya Hy?
@
Mujh Pe Ye Raaz Nahi Khul Paya
Be-Zmeeri Ka Ye Soda Kya Hy?
@
Maot Se Pehle Bataaye Koyi
Mere Honton Pe Ye Noha Kya Hy?
@
Mere Ashkon K Siwaae Akhir
Khushk-Sali Ka Mudaawa Kya Hy?
@
Ba-Khbar Kash Main Is Se Hota
Meri Taqdeer Mein Likha Kya Hy?
@
Khak Se Meri Hui Hy Tashkeel
Meri Hasti Ka Asasa Kya Hy?
@
Ishq Ki Raah-e-Junu'n Mein Sajid
Be-Sbaati Ka Sahara Kya Hy..??

Poet: Dr. K. M. Sajid

Toota Jo Ye Talism Khudaya To Main Gaya


Toota Jo Ye Talism Khudaaya, To Main Gaya
Karta Hoon Jis Ko Yaad, Wo Aaya To Main Gaya

Main Khud Sapurdgi Me Hoon Aisy Maqaam Pr
Mujh Ko Khyaal Apna B Aaya To Main Gaya

Paiwand_E_Reh'guzar Hoon, Mra Aetbaar Kr
Tu Ny Mujhy Zameen Sy Uthaaya To Main Gaya

Ubhri Jo Koi Chaap To Samjho Kih Main Nahi
Sarka Jagah Sy Apni Jo Saaya To Main Gaya

Mujh Me Nahi Hy Taab_E_Sukhan, Hairtee Hoon Main
Main Ny Kisi Ko Ye B Btaaya To Main Gaya..!!


Poet: Ahmad Hussain Mujahid

Chaar janib hy mry shehr k paani paani


Chaar janib hy mery shehr k paani paani
Kab Khuda jany kary naql mkaani paani

Doobty dekh k bewah ki shikasta diwaar
Aaj pani bhi hua sharm sy paani paani

Aik bebaak muarrikh k Qalam k manind
Mus'haf e waqt pe likhy ga kahaani paani

Waqt selaab hy, selaab guzer jata hy
Dy raha hy yahi paigham zubaani paani

Ab k darya sy bagolon ka uthy ga toofaan
Ab k ik aur hi likhy ga kahaani paani

Ghum k selaab ka rukh kis ny idhar morr dia
Kyun hui jati hy Khurshed jawaani paani...!!

Poet: Khurshed Baig Mailsvi

Kis Ne Chraagh Taq-e-Aqidat Mein Rakh Dia


Kis Ne Chraagh Taq-e-Aqidat Mein Rakh Dia
Kis Ne Meri Wafa Ko Aziyat Mein Rakh Dia""

""Aaeina Rakh Ky Mere Muqabil Sar-e-Khyaal
Mujh Ko Bhi Us Ne Ek si Herat Mein Rakh Dia""

""Main Sochta Hun Tere Siva Or Kon Tha
Is Dil Ko Jis Ne Chashm-e-Anayat Mein Rakh Dia""

""Dehshat Zda Sa Rehta Hun Main Apne Ap Mein
Is Ashqi Ne Is Trah Wehshat Mein Rakh Dia""

""Wo Jante Hein Mujh Se Khta Bhi Nahi Hui
Phir Doston Ne Q Mujhe Ibrat Mein Rakh Dia""

""Sajid" Ye Mere Shoq Ki Awaargi Hi Thi
Jis Ne Meri Hyaat Ko Tohmat Mein Rakh Dia..!!""

Poet: Dr. K. M. Sajid

Mailsi

Kinaar-e-aabju har roz jaaya karta tha


Kinaar-e-aabju har roz jaaya karta tha
Main chaand raat me picnic mnaya krta tha

Kabhi kmand-e-nazar phenkna tha shughl mera
Patang sy kabhi paichy larraaya karta tha

Tamaash-been mujhy dekhty thy herat sy
Naye naye main tmaashy dikhaya karta tha

Sr-e-zmeen-e-sukhan khama-e-tkhaiyul sy
Main harf jorr kar pekar bnaya karta tha

Main dopehr me kabhi Adsa-e-muhaddab sy
Dareeda per-han apna jalaaya karta tha

Wo kon shakhs tha jo raat k andhery me
Gali k morr pe har roz aaya karta tha

Wo din b khoob thy khurshid jab trannum sy
Mri ghazal wo mujhi ko sunaya karta tha..!!

Poet: Khurshid Baig Mailsvi

Nigar-e Ja'n Ne Sahi Hain Aziyatein Kya Kya


Nigar-e Ja'n Ne Sahi Hain Aziyatein Kya Kya/
Tray Tufail Hui Hain Nawazishein Kya Kya.
¤
Tilism-e Waqt Ne Aisay B Din Dikhaey Hain/
Keh Doorio'n Mein Hui'n Dafn Qurbatein Kya Kya.
¤
Gulo'n Ki Zaat Mein Paiwast Hai Lataafat, Gar/
To Nok-e Khaar Pe Raqsa'n Hain Wahshatein Kya Kya.
¤
Sitam K Baad Sitam Tha Hamari Qismat Mein/
Keh Khushk Sahra Pe Barsi Hain Barishein Kya Kya.
¤
Wujood Tha Keh Adam Hr Qadam Pe Saath Raha/
Zamee'n K Saath Jurri Hain Rafaaqatein Kya Kya.
¤
Kashish Se Khaak Ki Koi Nahin Mafar Saqib/
Keh Rizq-e Khaak Hui Hain Shabahatein Kya Kya.
¤
Poet:

MANZOOR SAQIB

Dard ki dunya ky ab bhi qaafley soty nai


Dard ki dunya ky ab bhi qaafley soty nai.
Hum zara sastaaien bhi to abley soty nai.

Hoti rahti hain dar o dewaar me sargoshian.
Ghar to so jata hai ghar ky mas'aley soty nai.

Ishq ki atish jala deti hai shaahon ka sakoo'n.
Phir zamaany men wo naazon ky paly soty nai.

Subh e nau ka jin ko rahta hai hamesha intezar.
Nisf shab ky ba'ad wo insa'n bhaly soty nai.

Her taraf zulm o sitam ki chal rahi hain andhya'n.
Kaanpta hai dil zamee'n ka, zalzaly soty nai.

Ik musalsal ratjagy ka nam hai dil ki lagi.
Kya kahen kyun rat bhar hum dil jaly soty nai.

Jis ko sona tha shab e hijrat wo soya kausari.
Manta hun log talwaron taly sotey nai.

Poet: Talib Kausari

Khat-e-Wahm Apny Guman My Hai khara Hua,


Khat-e-Wahm Apny Guman My Hai khara Hua,
koi Aabla Mery Dheyan My Hai khara Hua,
Hai Isi k Dam Sy Laho My Josh-o-kharosh Bhi,
Jo Fishar Sa Rag-e-Jan My Hai khara Hua,
kahan kha Sakien Isy Dastakon ki Wo Shehwatein,
Dar-e-Zabt Dil k Makan My Hai khara Hua,
So Hadaf k Dard Sy Ashna Hai Bhala To kiyun,
Ye Jo Tan k Teer kaman My Hai khara Hua,
kahen Dhoop Barf k Sang Sang Jami Hoi,
kahen Aifaz Meri Zuban My Hai khara Hua,
Ye Zamana Farda ki kokh Sy Hai Gira kahen,
Ye Jahan Agly Jahan My Hai khara Hua,
Hai Koi Khuda To Ada Ho Us k Hazoor My,

Mera Sajda Shauq-e-Hijan My Hai Khara Hua

Poet..Gul Jahan Gul

Saturday 8 November 2014

dill hijar k dard se bojhal hai


Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter hai,
Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho?

Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hai,
Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho!

Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa,
Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar hai,

Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan
Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho!

Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai,
Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho,

Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai,
Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho,

Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya
Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho,

Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin,
Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho…

phir se aankhon mein khwaab insha ji


Phir se ankhoon main khawab Inshaa Ji,

Ijtenaab, Ijtenaab, Ijtenaab Inshaa Ji…!!!

Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara,


Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara,
Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara,
Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara,
Darwaza khula rakhna,

Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse,
Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse,
Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse,
Darwaza khula rakhna,


Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai,
Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai,
Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai,
Darwaza khula rakhna,
Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,
Darwaza khula rakhna,


Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna,
Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna,
Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna,
Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.

Bhala gardish e Falak falak chain deti hai kisay Ansha !


Bhala gardish e Falak falak chain deti hai kisay Ansha !

Ghaneemat hai kah hum soorat yahan do chaar bethay hain

aaj to humko pagal keh lo



 Aaj to hum ko paagal keh lo, pathar phenko, tanzz kar lo,

Ishq ki baazi khel naheen hain, khelo ge to haaro ge

Hum jungle ke jogi, hum ko aik jagha araam kahan,


Hum jungle ke jogi, hum ko aik jagha araam kahan,



Aaj yahan, kal aur nagar, subah kahan to shaam kahan..


***Tumhari aankhain kehti hain hisaar-e-zaat say niklo

Tumhari aankhain kehti hain hisaar-e-zaat say niklo

***Tumhari aankhain kehti hain hisaar-e-zaat say niklo,
Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo..

Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa,
Kabhi sachi hansi hans do purani yaad say niklo..

Khayal-e-yaar acha hai magar jis nay wafa na ki,
Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad say niklo..

Nahin koi muhabbat bhi, hijr rut bhi, raqabat bhi,
To yeh dharka sa kaya, kahiye, wehem ki ghaat say niklo..

Sukhanwer hum say kehta hai saja lo aankh men kuch khawab,
Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat say niklo..

Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do,
Hamaray karb ki chhorro, tum is gardaab say niklo..

Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmaandgi kuch bhi,
Zamana daikh tham jaye, kuch is andaaz say niklo..!