Hum Dare AAQA (S.A.W) Pe Sir Apna Jhuka Lete Hain
Sach Batana Ary Duniya Tera Kya Lete Hain
Pattharo Tum To Ho Patthar Magar AAQA (S.A.W) mery
Tumse Gar Chahe To Kalmah Bhi Padha Lete Hain.
Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaaj
Ham ghame Ishq-e-Nabi (S.A.W) may bhi maza letay hain.
Waqt Ki Qaid Nahi Hai Ye Karam Ki Baatein
Jab Bhi SARKAAR (S.A.W) Ki Marzi Ho Bula Lete Hain.
Usko Aankho Me Bithate Hai Zamane Wale
Jisko MEHBOOB e KHUDA (S.A.W) Apna Bana Lete Hain.
Jab Nahi Milti Kahi Se Bhi Suku(n) Ki Daulat
Teri Mehfil Tere Deewane Saja Lete Hain.
Gunbad e Khazra! Khuda tujh ko salaamat rakhy.
Dekh lety hen tujhe, pyaas bujha lety Hain.
Ye bhi Sarkaar (S.A.W) ki rehmat hay karam hay unka
Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain
Jab Se Dekha Hai Niyazi Wo Riyazul Jannah
Hum to Ghar Baith Ke Jannat Ki Hawa Lete Hain.
No comments:
Post a Comment