Friday 13 June 2014

Apni Tasweer ko Ankho se Lagaata kya hy

Apni Tasweer ko Ankho se Lagaata kya hy

Apni tasweer ko ankho'n se lagaata kya hy,
Ek nazar meri taraf dekh tera jaata kya hy.

Meri ruswaaii me tu bhi hai baraabar ka shareeq,
Mery qissy mery yaaro'n ko sunaata kya hy.

Paas reh kar bhi na pehchaan saka tu mujh ko,
Door se dekh ky ab haath hilaata kya hy.

Safr e shoq me kyon kampty hain paon tery,
Door se dekh ky ab haath uthaata kya hy.

Umr bhar apny girebaa'n se ulajhny waale,
Tu mujhy mery saaye se daraata kya hy.

Mar gaye pyaas ky mary to utha abr e karam,
Bujh gai bazm to ab sha'mma jalaata kya hy.

Me tera kuch bhi nhi hun magr itna to bta,
Dekh kar mujh ko tery zehn me aata kya hy.
Poet: Shehzad Ahmed

No comments:

Post a Comment