Friday, 13 June 2014

Apni Tasweer ko Ankho se Lagaata kya hy

Apni Tasweer ko Ankho se Lagaata kya hy

Apni tasweer ko ankho'n se lagaata kya hy,
Ek nazar meri taraf dekh tera jaata kya hy.

Meri ruswaaii me tu bhi hai baraabar ka shareeq,
Mery qissy mery yaaro'n ko sunaata kya hy.

Paas reh kar bhi na pehchaan saka tu mujh ko,
Door se dekh ky ab haath hilaata kya hy.

Safr e shoq me kyon kampty hain paon tery,
Door se dekh ky ab haath uthaata kya hy.

Umr bhar apny girebaa'n se ulajhny waale,
Tu mujhy mery saaye se daraata kya hy.

Mar gaye pyaas ky mary to utha abr e karam,
Bujh gai bazm to ab sha'mma jalaata kya hy.

Me tera kuch bhi nhi hun magr itna to bta,
Dekh kar mujh ko tery zehn me aata kya hy.
Poet: Shehzad Ahmed

Thursday, 12 June 2014

Na Ibn e Aadam Ghuyyoor Thehry

Na Ibn e Aadam Ghuyyoor Thehry

Na Ibn e Aadam Ghuyyoor Thehry,
Na Bint e Hawwaa men ab Haya hy
Jo mery andar ka ik bashar tha.
Mujhii men ghuutt ghuut ky mar gya hy

Wednesday, 11 June 2014

Khush Fehmiyon Ky Silsily Itny Daraaz Hen

Khush Fehmiyon Ky Silsily Itny Daraaz Hen

Khush Fehmiyon Ky Silsily Itny Daraaz Hen.
Har Eeint sochti hay ky deewaar ham sy hay.

Tuesday, 10 June 2014

Qabza Na Haq Na Kijye Khud Par

Qabza Na Haq Na Kijye Khud Par

Qabza Na Haq Na Kijye Khud Par.
Aap apnay naheen, Hamaary hen.

Sab Saleeqy Hen Mery Yaar Men Dildari Ky

Sab Saleeqy Hen Mery Yaar Men Dildari Ky

Sab Saleeqy Hen Mery Yaar Men Dildari Ky.
Kesy karna hay shikayaat ko radd, jaanta hay.

Poet: Rizwan Babur

Ye Mahabbat Bhi Ek Neki Hai

Ye Mahabbat Bhi Ek Neki Hai

Ye Mahabbat Bhi Ek Neki Hai.
Aao Dariya Men Daal aaty hen.

Tuesday, 3 June 2014

Ab Sma'at Hee Kahaa'n ,Shear Sunaiey'n Kaisey

Ab Sma'at Hee Kahaa'n ,Shear Sunaiey'n Kaisey

Ab Sma'at Hee Kahaa'n ,Shear Sunaiey'n Kaisey.
Takhta_E_Zung Pa Hum Rung Jamaiey'n Kaisey.

Tu Gaya Hey To Tri Yaad Sey Lag Baitha Hey.
Dil Ko Hum Kaar_E_Zamana Mein Lagaiey'n Kaisey.

Dono'n Ik Shamm'ey Mahabbat To Jalaa Baithey Hain.
Sochna Yeh Hey Keh Rokeiey'n Gey Hawaaeiy'n Kaisey.

Woh To Mar Jaaey Ga Suntey Hee Badalna Taira.
Bey Wafa Yaar Bataa ! Dil Ko Bataiey'n Kaisey.

Jis Sey Bhi Baat Kareiy'n Neend Ka Aalam Boley.
Aisey Maahol Mein Soto'n Ko Jagaiey'n Kaisey.

Dil To Aasaaish_E_Dunya Sey Uthaa Patey Nahien.
Log Ab Ishq Key Aazaar Uthaaiey'n Kaisey.

Hum Ney Pairaaey Badal Kar Bhi Mahabbat Maangi.
Baat Banti Hee Nahien ,Baat Banaiey'n Kaisey.

Hum Ney To Dard_E_Mahabat Ko Bhi Khalis Rakhha.
Us Ka Gham Ley Key Trey Saamney Aaiey'n Kaisey.

Dard_E_Dil Runj_E_Zamaana Sey Allag Rakhtey Hain.
Dil Ka Darbaar Hey Dunya Mein Lagaiey'n Kaisey.

Poet: Shazad Nayyar

Dil Men Kuch Moortain Basa Lijiye

Dil Men Kuch Moortain Basa Lijiye

Dil Men Kuch Moortain Basa Lijiye,
Zindagi Ko Zia Bana Lijiye,

Ye Meri Jaa'n Hai Ye Mera Dil hai,
Jo Tabiat Kare Utha Lijiye,

Meri Hasti Ko Cheen Kar MujhSe,
MujhKo Nuqsan Se Bacha Lijiye,

Kuch Na Kuch To Ghatte Gi Tareeki,
Dagh Ho Ya Diya Jala Lijiye,

Hum Na Chorein Ge ApKa Daman,
Jis Qadar Zor Hai Laga Lijiye,

Ye Bhi Pyasi Hai Muskaraht Ki,
Meri Halat Pe Muskara Lijiye,

KisNe Ye Mashwara Dia Hai Tumhen?
Chaand Si Shakal Ko Chupa Lijiye,

Husn Mehman Hai Chaar Raton Ka,
Lutf Farmaiye Dua Lijiye,

Zehr Agar De Rahe Hen Yar ADDAM,
Mera Mashwara Hai Kha Lijiye.

Poet: Abdul Hameed Addam

Sitam Ko Maslehat Husn-e-Taghaful Ko Ada Kehna

Sitam Ko Maslehat Husn-e-Taghaful Ko Ada Kehna

Sitam Ko Maslehat, Husn-e-Taghaful Ko Adaa Kehna...
Usay ab or Kia Likhna Usse ab or Kia KehNa...?

Ye Rasm-e-Shehr -e-pursaa, bs mery hi Damm Se Qayim Hy...
K hr ik Ajnabi ko Muskuraa Kr Aashna Kehna...

Hazaaroun Haadsay Tujh Per Qayamt BaN k Tootay hain...
Tu is Pr B salaamat hY Dil-e-Khush Fahem ? Kiya Kehna...

Dil-e-be-kaif  Ko Be Talab Jee Leny Ki Aadat Hy...
Mujhy Acha Nahi Lagta Dua ko Iltajaa Kehnaa...

MerY "MOHSIN" Ye Adaab-e-Musaafat Seekhna HoN Ge...
Bhataktay Jugnuoun Ko B Safar Ka Aasra Kehna. 

Poet: Mohsin Naqvi

Cigarette (Poem) - By Hafeez Tabassum

Cigarette (Poem) - By Hafeez Tabassum

(Nazm CIGARETTE)
Khabardar!
Chhor do ye cigarette pena,
Keh tamam bemareon ki maa ha cigarette, sehat,jawani or peasay ka nuqsaa'n ha cigarette,
Aey ba shaor logo!Tum bi dhom dhaam se manaya kro har saal smoking day,
K hamen apne watn ko, nashay se pak krna ha,
Sun kr muqarar ka shola bian khitab, 
tamam sam'een ne dil hi dil me kia ye ehad,
K ainda se ye kar e zian na hoga,
Or ainda se hamare bed room me dhowa'n na hoga,hum chor den ge cigarette,
Hum tor den li'ter,is nashay ka kya fiada,is nashay se kia hasil?
Phir youn hua k haal se nikltay hi,minber ke muqarar ne ik cigarettejalaya,
Or hawa me chor kr ik gehra kash,kon choray is kambakht cigarette ko?
Wo mon'h hi mon'h me burbarraya....!!

Poet: Hafeez Tabasum Dunya pur

Monday, 2 June 2014

Sunday, 1 June 2014