Monday, 13 February 2017

Meh Jabeenon ki Adaaon Se Ulajh Betha Hoon


Mah Jabeenon ki Adaaon se ulajh betha hoon
Is ka matlab hy, balaaon se ulajh betha hoon

مہ جبینوں کی اداؤں سے اُلجھ بیٹھا ہوں
اس کا مطلب ہے، بلاؤں سے اُلجھ بیٹھا ہوں




Baab e Taaseer se nakaam palatt ayi hen
Is liye apni duaaon se ulajh betha hoon

بابِ تاثیر سے ناکام پلٹ آئی ہیں
اس لیے اپنی دعاؤں سے اُلجھ بیٹھا ہوں




Tairi dehleez pe jhuknay ka sawaal aaya tha
Main zamaany ki anaaon se ulajh betha hoon

تیری دہلیز پہ جھکنے کا سوال آیا تھا
میں زمانے کی اَناؤں سے اُلجھ بیٹھا ہوں




Jo musaafir ky liye baais e taskeen naheen
Aisy ashjaar ki chhaaon se ulajh betha hoon

جو مسافر کے لیے باعثِ تسکین نہیں
ایسے اشجار کی چھاؤں سے اُلجھ بیٹھا ہوں



Jo ghareebon ka diya phoonk ky tham jati hen
Aisi kam zarf hawaaon se ulajh betha hoon

جو غریبوں کا دِیا پُھونک کے تھم جاتی ہیں
ایسی کم ظرف ہواؤں سے اُلجھ بیٹھا ہوں




Arsh waaly! Meri tauqeer salaamat rakhna
Farsh ky saary khudaaon se ulajh betha hoon

عرش والے! مِری توقیر سلامت رکھنا
فرش کے سارے خداؤں سے اُلجھ بیٹھا ہوں


Thursday, 5 February 2015

Hum Dare AAQA (S.A.W) Pe Sir Apna Jhuka Lete Hain

Hum Dare AAQA (S.A.W)  Pe Sir Apna Jhuka Lete Hain


Hum Dare AAQA (S.A.W)  Pe Sir Apna Jhuka Lete Hain
Sach Batana Ary Duniya Tera Kya Lete Hain

Pattharo Tum To Ho Patthar Magar AAQA (S.A.W)  mery
Tumse Gar Chahe To Kalmah Bhi Padha Lete Hain.

Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaaj
Ham ghame Ishq-e-Nabi (S.A.W) may bhi maza letay hain.

Waqt Ki Qaid Nahi Hai Ye Karam Ki Baatein
Jab Bhi SARKAAR (S.A.W)  Ki Marzi Ho Bula Lete Hain.

Usko Aankho Me Bithate Hai Zamane Wale
Jisko MEHBOOB e KHUDA  (S.A.W) Apna Bana Lete Hain.

Jab Nahi Milti Kahi Se Bhi Suku(n) Ki Daulat
Teri Mehfil Tere Deewane Saja Lete Hain.

Gunbad e Khazra! Khuda tujh ko salaamat rakhy.
Dekh lety hen tujhe, pyaas bujha lety Hain.

Ye bhi Sarkaar (S.A.W) ki rehmat hay karam hay unka
Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain

Jab Se Dekha Hai Niyazi Wo Riyazul Jannah
Hum to Ghar Baith Ke Jannat Ki Hawa Lete Hain.

Friday, 5 December 2014

Be Khudi Be-Sabab nhi Ghalib - Complete Ghazal

Be Khudi Be-Sabab nhi Ghalib
Kuch to hy jis ki parda daari hy.

Dil-o-Mizgaa'n ka jo muqadma tha.
Aaj phir us ki roobakaari hy.

Phir ussi bewafa pe marty hen.
Phir wohi zindgi hamaari hy.

Phir diya paara-e-jigar ne sawaal.
Aik fariyaad-o-aah-o-zaari hy.

Phir huye hen gawaah ishq-talab.
Ashk-baari ka hukm jaari hy.

Phir kuch ik dil ko beqaraari hy.
Seena Jooya-e-zakhm-kaari hy.

Poet: Mirza Asad ullah Khan Ghalib

Friday, 28 November 2014

Kamry Mein Hai Bikhra Hua Saaman Waghera,


Kamry Mein Hai Bikhra Hua Saaman Waghera


Kamry Mein Hai Bikhra Hua Saaman Waghera,
Khatt, Khuwab, Kitaaben, Gul-o-Guldaan Waghera,

In Mein Se Koi Hijar Mein Emdaad Ko Aaye,
Jinn, Dev, Pari, Khizar, Ya Luqman Waghera,

Tu Aaye To Gatthri Mein Tujhe Baandh K De Don,
Dil, Jaan, Nazar, Soch, Ye Emaan Waghera,

Bs Eshq K Murshid Se Zara Khaufzada Hun,
Jheela Hai Bohat Waisy To Nuqsan Waghera...!!!


Mohabbat Se, Inaayat Se, Wafa Se, Chot Lagti Hai,

Mohabbat Se, Inaayat Se, Wafa Se, Chot Lagti Hai

Mohabbat Se, Inaayat Se, Wafa Se, Chot Lagti Hai,
Bikhartaa Phool Hun, Mujh Ko, Hawaa Se, Chot Lagti Hai ... !


Meri Aankhon Mein, Aansu Ki Tarah, Eik Raat Aa Jaao,
Takalluf Se, Banaawat Se, Adaa Se, Chot Lagti Hai ... !!

Main Shabnam Ki, Zabaan Se, Phool Ki, Aawaz Sunta Hoon,
Ajab Ahsaas Hai, Apni Sadaa Se, Chot Lagti Hai ... !!!

Tujhe Khud, Apni Majboori Kaa, Andaaza Nahin Shaayad,
Na Kar Ahad-E-Wafa, Ahad-E-Wafa Se, Chot Lagti Hai ...~!



Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye

Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye Ghamon ne Chaat Liya, Gham-Kisar Ab Aye

Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye
Ghamon ne Chaat Liya, Gham-Gusaar Ab Aye

Ye Waqt Is Tarha Rone Ka To Nahi Lekin
Main Kya Karun K Mere SoGawar Ab Aye

Wo Dhoop Dhoop Hi Mein Ho gya Basar Chup Chap
Shajar Shajar Pe Mere Barg-o-Bar Ab Aye

Wo Jin Pe Dhoka Sa Jheela Tha Hum Ne Manzil Ka
Wo Qafilay To Sar-e-RahguZar Ab Aye

Na Dailion Pe Koi Phool Hai No HonTon Par
Maza To Jab Hai K Bad-e-Bahar Ab Aye

Ab Door Hi Reh. Ya Mil Sajna


Ab Door Hi Reh. Ya Mil Sajna
Tujhay Sonp Diya Hai Dil Sajna

Ab Khushbu Har Su Phailay Gi
Ik Zakham Gaya Hai Khil Sajna

Har Raat Teray Bin Seenay Par
Hai Dhari Hui Ik Sil Sajna

Har Husan Main Waar Du Tum Par Say
Kaya Aankhain,Aariz,Til Sajna

Seenay Main Meetha Meetha Dukh'
Aankhon Main Hai Jhilmil Sajna