Wednesday 24 September 2014

itni jaldi mrey balon mein


itni jaldi mrey baalon mein safaidi aai...

Zindagi teri yeh raftaar nahi chaiyee thi,,,,!!


Saturday 20 September 2014

Choti si berukhi pe shikayat ki baat hai


Choti si berukhi pe shikayat ki baat hai
aur wo bhi iss liye ke muhabbat ki baat hai,

Maine kaha ke aaye ho kitne dino ke baad
Kehne lage, huzoor ye fursat ki baat hai, 

Maine kaha ke mil ke bhi hum kyu na mil sake
Kehne lage, huzoor ye qismat ki baat hai, 

Maine kaha kyu rehte ho har baat par khafa
Kehne lage, huzoor ye qurbat ki baat hai 

Maine kaha ke deten hai dil,tum bhi laao dil
kehne lage ke, yeh to tijarat ki baat hai, 

Maine kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam
Kehne lage ke, yeh to tabiyat ki baat hai.


Taras K Mere Bazo Uran Chor Gya


..

Taras K Mere Bazo Uran Chor Gya,
Hawa K Pas Barhna Kaman Chor Gya..

Rafaqton Ka Meri Us Ko Dihan Kitna Tha,
Zameen Le Li Magr Asman Chor Gya..

Ajib Shakhs Tha Barish Ka Rang Dekh K Bhi,
Khule Dariche Pe Ek Phol Dan Chor Gya..

Jo Badlon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha,
Barhi Hai Dhop Tu Be-Saiban Chor Gya..

Nikal Gya Kahin An Dekhe Panio Ki Taraf,
Zamin K Naam Khula Bad Ban Chor Gya..

Uqab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se,
Jo Gir Gai Tu Yon Hi Neem Jan Chor Gya..

Na Jane Kon Sa Aseb Dil Me Basta Hai,
K Jo B Thehra Wo Akhir Makan Chor Gya..

Aqib Main Gehra Samandr hai samne jangle,
Kis intiha pe mera mehrban chor Gia..........

chalo yeh farz karty hain..



Chalo Ye Farz Kerty Hain
k
Tum Mashriq
Main Maghrib Hoon
Chalo
Ye Maan Lete Hain
Bohat Lamba
Safar Hy Ye
Magar Ye Bhi
Haqiqat Hy
Tumhari Zaat Ka Suraj
Meri Hasti main
Duubey Ga ?


Friday 5 September 2014

Ay Khaasa e Khaasaan e Rusul Waqt e Dua Hay

Ay Khaasa e Khaasaan e Rusul Waqt e Dua Hay

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Wo dee'n Jo bari shaan se nikla tha arab se
Perdais main woh aaj ghareeb ul ghuraba he............

Jis deen ky mad'oo thay kabhi Qaisar o Qisraa.
Khud aaj wo Mehmaan Saraa'e Fuqraa hay.

Wo deen, hui bazm e jahan jis se charaaghan
Ab us ki majaalis main na bati na diya he........................

Wo deen k tha shirk se aalam ka nighebaan
Ab us ka nighebaan agar he to Khuda he...........................

Jis deen ne dil aa ky thay ghairo'n ky milaaye.
Us deen men khud bhai sy ab bhai juda hay.

Jo deen ky hamdard e bani no-e-bashar tha.
Ab jang o jadal chaar taraf us men bapaa hay.

Jis deen ka tha faqr bhi akseer, ghanaa bhi.
Us deen men ab faqr hay baqi na ghanaa hay.

Jis deen ki hujjat sy sab adyaan thay maghloob.
Ab mo'taraz us deen py har har za-daraa hay.

Hay deen tera ab bhi wohi, chashma e saafi.
Dee'n-daaron men par aab hay baaqi, na Safaa hay.

Aalim hay so be-aql hay, Jaahil hay so wehshii.
Mun'imm hay so maghroor hay, Mufliss so gadaa hay.

Yaa'n raag hay din-raat, widaa'n rang shab-o-rooz.
Ye majlis e a'ayaa'n hay wo bazm-e-shurafaa hay.

Chhotto'n men ataa'at hay na shafqat hay barro'n men.
Pyaaro'n men mahabbat hay na yaaro'n men wafa hay.

Dolat hay na izzat na fazeelat na hunar hay.
Ik deen hay baaqi so wo be barg-o-nawaa hay.

Hay deen ki dolat say bahaa, ilm sy ronaq.
Be-dolat o ilm is men na ronaq na bahaa hay.

Shahid hay agar deen to ilm us ka hay zewar.
Zewar hay agar maal tou ilm us ki jilaa hay.

Jis qom men or deen men ho ilm na dolat.
Us qom ki or deen ki paani pe binaa hay.

Go, qom men teri naheen ab koi barraayi.
Par naam teri qom ka yaa'n ab bhi barra hay.

Dar hay kaheen ye naam bhi mit jaaye na akhir.
Muddat sy issay dor-e-zamaa'n meett raha hay.

Jis qasr ka tha sar-ba-falak Gunbad-e-Iqbal.
Adbaar ki ab goonj rahi us men sadaa hay.

Beirra tha na jo baad-e-mukhaalif say khabardaar.
Jo chalti hay ab chalti khilaaf us kay hawaa hay.

Wo roshni e baam-o-dar e kishwar e Islam.
Yaad aaj talak jis ki zamaany ko zia hay.

Roshan Nazar aata naheen waa'n koi charaagh aaj.
Bujhne ko hay ab gar koi bujhne sy bachaa hay.

Ishrat kady aabaad thay jis qom kay har soo.
Us qom ka aik aik ghar ab bazm e azaa hay.

Wo qom ky aafaaq men jo sar-ba-falak thi.
Wo yaad men aslaaf ki ab roo-ba-qaza hay.

Feryaad he, aey kashti e Ummat k nighebaan
Bairaa yeh tabaahi k qareeb aan laga he.........................

Kar HAQ sy dua ummat e marhoom ky haq men.
Khatron men boht jis ka jahaaz aa ky ghira hay.

Ummat men teri naik bhi hen bad bhi hen lekin.
Dildaada tera aik sy aik in men siwaa hay.

Eemaa'n jissy kehty hen aqeedy men hamaary.
Wo tairii mahabbat teri itrat ki wilaa hay.

Har chaplaqash-e-dahr-e-mukhalif men tera naam.
Hathiyaar jawaano'n ka hay, Peero'n ka asaa hay.

Jo khaak tery dar py hay jaarob sy urrti.
Wo khaak hamaary liye daaroo-e-shifa hay.

Jo shehr hua teri wilaadat sy musharraf.
Ab tak wohi Qibla teri ummat kar raha hay.

Jis mulk ne paayi teri hijrat sy sa'aadat.
Ka'aby sy kashish us ki har ik dil men siwa hay.

Kal dekhiye paish aaye ghulaamo'n ko tery kya.
Ab tak to tery naam py ik aik fida hay.

Hum naik hain ya bad hain, phir aakhir hain tumharay
Nisbat boht achi he ager haal bura he..................

Tadbeer sanbhalny ki hamaary naheen koi.
Haa'n aik dua tairii ky maqbool e KHUDA hay.

Khud jaah ky taalib hen na izzat ky khuwaahaa'n.
Par fikr tery deen ki izzat ki sadaa hay.

Gar deen ko jokho'n naheen izzat sy hamaari.
Ummat teri har haal men raazi ba-raza hay.

Chaai hui alaam pe, qiyamat ki ghata he
Badli hui duniya main zamanay ki hawa he................

Haa'n haali e gustaakh! na barh hadd-e-adab sy.
Baato'n sy tapakta teri ab saaf galaa hay.

Hay ye bhi khabar tujh ko ky hay kon mukhatib.
Yaa'n junbish-e-lab khaarij-az aahang-e-khataa hay.

Poet: Molaana Altaaf Hussain Haali